Jivan parichay.....!

Hindi sahitya me Yashpal ka mahatwapurn yogdan hai.Yashpal bahumukhi pratibha ke dhani hain. Yashpal ek krantikari hone ke sath-hi-sath ek patrakar,upanyaaskaar,kahaanikaar,nibandhkaar aur anuwadak bhi hain.Parantu sabse pahle wo ek krantikari hai aur apne anubhawo ko unhone apne lekhan ke madhyam se janta ke saamne rakhaa hai.Patrakarita jagat me bhi unka ullekhniya yogdaan rahaa hai.'Viplav' ke madhayam se unhone patrakarita jagat me bhi uthal-puthal machaa diya tha.Iske alaawa'Nayaa Saath' jaisee patrikao ka bhi unhone sampaadan kiya.
Yashpal ka janm 3 december 1903 me Punjab ke firojpur chhavni me hua tha.Unke pita Hiralaal ek sadhaaran karowari the.Unki maataa Prem Devi firojpur chhavni ke ek arya anaathaalaya me adhyaapika thi.Yashpal do bhai the.Unki maataa par unki shikshaa ka pura dayitwa tha.Prem Devi unhe arya samaj ke aadarsho ke anukul unke jivan ko sanchalit karnaa chaahti thi.7 varsh ki aayu me unhe gurukul kangri me bharti karwaa diya gayaa.

कोई टिप्पणी नहीं:

एक टिप्पणी भेजें