शनिवार, 18 जून 2011

"Vichaaro aur aadarsho ki sattaa ko jivan se svatantra maanane ki aadarshvaadi dhaaranaa ka anivaarya parinaam yah hotaa hai ki vichaaro ki to apni svantatra satta hai, samaaj ka vichaaro par koi niyantran nahi. Manushya ke jivan aur aadarsho me samanvay tabhi ho saktaa hai jab manushya aadarsho ke liye apne aapko balidaan kar de. bechaaraa manushya parampraagat aadarsho aur vichaaro ke adhin aur pratantra ho jaataa hai.dusri dishaa me bhautikvaadi drishtikon kahta hai ki manushya samaaj ki vichaardhaaraa uski paristhitiyo par hi nirbhar hai. iskaa arth hotaa hai ki samaaj ki vichaardhaaraa ka aisa koi srot nahi jis par manushya samaaj ka prabhaav aur niyantran ho.Manushya ko iss baat ki svatantrataa hai ki apni paristhiyo ke anukulan samaaj ke kalyaan ke liye apni vichaardhaaraa ko dhalne de. Bhautik aur aarthik paristhitiyo ka vichaaro par prabhaav bhautikvaad ki kapol kalpana nahi hai.Samaaj ki badalati huyi aarthik paristhitiyo me uski me uski badali huyi vichaardhaaraa itihaas dvaaraa pramaanit saty hai"

कोई टिप्पणी नहीं:

एक टिप्पणी भेजें