शनिवार, 18 जून 2011

"Vichaaro aur aadarsho ki sattaa ko jivan se svatantra maanane ki aadarshvaadi dhaaranaa ka anivaarya parinaam yah hotaa hai ki vichaaro ki to apni svantatra satta hai, samaaj ka vichaaro par koi niyantran nahi. Manushya ke jivan aur aadarsho me samanvay tabhi ho saktaa hai jab manushya aadarsho ke liye apne aapko balidaan kar de. bechaaraa manushya parampraagat aadarsho aur vichaaro ke adhin aur pratantra ho jaataa hai.dusri dishaa me bhautikvaadi drishtikon kahta hai ki manushya samaaj ki vichaardhaaraa uski paristhitiyo par hi nirbhar hai. iskaa arth hotaa hai ki samaaj ki vichaardhaaraa ka aisa koi srot nahi jis par manushya samaaj ka prabhaav aur niyantran ho.Manushya ko iss baat ki svatantrataa hai ki apni paristhiyo ke anukulan samaaj ke kalyaan ke liye apni vichaardhaaraa ko dhalne de. Bhautik aur aarthik paristhitiyo ka vichaaro par prabhaav bhautikvaad ki kapol kalpana nahi hai.Samaaj ki badalati huyi aarthik paristhitiyo me uski me uski badali huyi vichaardhaaraa itihaas dvaaraa pramaanit saty hai"

9.Yashpal ka aupanyaasik shilp(Pravin Nayak) , 10.Hindi upanyaas- rachanaa-vidhaan aur yug-bodh (Vasanti Pant) , 11.Yashpal ki Divya (Roop Narayan Pandey) , 12.Hindi kahaani -pahchaan aur parakh (Dr. Indranath Madaan ), 13.Hindi upanyaas- pahchaan aur parakh (Dr. Indranath Madaan) , 14.Yashpal ke upanyaaso ka mulyaankan ( Dr. Sudarshan Malhotra) , 15.Marxvaad aur upanyaaskaar Yashpal (Dr. Parasnath Mishra) , 16.Aadhunik hindi kahaani (Dr. Lakshminarayan Lal) , 17.Nayaa saahitya :Naye prashn (Nandadulare Vajpai) , 18. Yashpal ki kahaani-kalaa (Anu Kumari Vig) , 19.Hindi ke upanyaaskaar (Yagyadatt Sharma ) , 20. Pragatishil saahitya ki samasyaaye (Dr. Ramvilas Sharma ) , 21.Yashpal ke upanyaas (Snehlata Sharma ) , 22.Hindi Upanyaas aur Yathaarthvaad (Tribhuvan Singh ) , 23.Hindi upanyaas:udabhav aur vikaas ( Dr. Suresh Sinha) , 24. Hindi Upanyaas (Dr. Suresh Sinha)

1.Bhaartiya kraantikaari aandolan ka itihaas (Manmathnaath Gupt) , 2.Yashpal: vyaktitva aur krititva (Saroj Gupt) , 3.Aadhunik hindi kahaani me pragati-chetanaa (Dr. Gautam lakshaman Dutt) , 4.Hindi Upanyaas:samaaj shaastriya vivechan (Dr. Chandi Prasad Joshi) , 5.Yashpal aur hindi kathaa -saahitya (Sureshchandra Tiwari) , 6.Hindi Upanyaas-kalaa (Pratapnarayan Tandon), 7.Hindi Upanyaas (Dr. Shushama Dhawan) ,

Yashpal ka Rachanaakaal(1903 - 1976) "...............Pragatishil shreni ki bhaavnaa ki abhivyakti pragatishil saahitya hai...........................pragatishil saahitya ka kaam samaaj ke vikaas ke maarg me aane vaali andh -visvaas aur rudhivaadi adchano ko dur karna hai. pragatishil saahitya ka dhyey,samaaj ko shoshan ke bandhan se mukt karne ke kaaryakram me, pragatishil kraantikaari sarvahaaraa shreni ka sabal saadhan bananaa.Pragatishil saahitya ka maarg kaalpnik sukho ki anubhooti bhramjaal ko dur karke maanavataa ki bhautik aur maanasik samriddhi ke rachanaatmak karya ke liye preranaa denaa hai......!"

1.Singhaavalokan(4-bhaag), *chaturth bhaag puraa nahi likhaa jaa sakaa .yashpal ke aaksmik nidhan ki vajah se singhaavalokan ka chauthaa bhaag adhuraa hi rah gayaa*.

1.Julaikhaa, 2.Pakkaa Kadam, 3.Fasal, 4.Janaanee Dyodhi, 5.Chalanee me Amrit, 6.Cheenee Comunist -party.

1.Chakkar clab, 2.Baat baat me baat, 3.Nyaay ka Sangharsh ,4.Jag ka Mujraa, 5.Mai kyon likhataa hu? ,6.Gaandhivaad ki shav parikshaa,7.Raamraajya ki Kathaa, 8.Marxvaad , 9.Dekhaa,sochaa,samajhaa, 10.Bibiji kahti hai n,mera chehraa robilaa hai!.

1.Pinjare ki Udaan(1939),2.Wo Duniyaa(1942),3.Gyaandaan(1943),4.Abhishapt( 1944),5.Tark ka Toofaan(1944),6.Bhasm-aavrit Chingaari(1946),7.Phulo ka Kurtaa(1949),8.Dharmayuddh(1950),9.Uttaraadhikaari(1951),10.Chitra ka Shirshak(1951),11.Tumne kyo kahaa thaa, mai sundar hu(1954),12.Uttami ki Maa(1955),13.O Bhairvi !(1958),14.Sach bolne ki bhool(1962),15.Khachchar aur Aadami(1965)

".......manushya ko yadi svatantrataa ho to sabse pahle vah apne dukh ko dur karne ka yatna karnaa chaahtaa hai.Jeesme apnaa dukh dur karne ka saamarthya nahi,uski svatantrataa ka kya arth??......sarva -saadhaaran ki pratyek ichchhaa aur aavashyaktaa par baadha dikhaayi deti hai.ham jaise logo ki svatantrataa ka arth kya hai. svatantrataa ka to arth hai ki apni sab aavashyaktaao ko purn karne ka yatna kar sake aur ham par kisi prakaar ka dabaav ya bhay na ho.........................!"

Poonjivaad vyaktigat svatantrataa ke vishay me yashpal ka kahnaa hai ke:- "Hamaare desh ke log apni paristhitiyo aur aavashyaktaao ke anusaar niti apnaa rahe hain.Jivan me saamarthya aur avsar hamaare aur aapke saadhano par nirbhar kartaa hai.Saadhan hi hamaari svatantrataa ki simaaye nishchit karte hain yadi me sab saadhan samet lu aur aapko saadhanhin banaa du to aapkaa vyaktitva kaise svatantra rah sakegaa??.........................................."

......rachnaatmak saahitya aur srijanaatmak saahitya me antar hai.rachnaa athvaa nirmaan ek yojanaa-baddh , buddhi-sammat prakiryaa hai jiske pichhe bahirmukhi vriti ki preranaa rahti hai,srijan atmasaakshaatkaar ke kshano ki anivaarya prakiryaa hai jisme vriti antarmukhi ho jaati hai.Nirmaan kaa lakshya hai kalyaan,srijan ka lakshya hai aanand.Aap ise dosh maaniye ya goon ,meri antarmukhi prakriti aanand se badhkar aatma- kalyaan athavaa lok- kalyaan karne me asamarth hai..........!

मंगलवार, 14 जून 2011

"....saahitya aur kalaa kaa udeshya aur lakshya sthayi mulya ki uchchatar anubhutiyo aur santosh ko utpann karnaa rahaa hai aur hona chaahiye.Saahitya aur kalaa ki gati prithvi aur sarvasaadhaaran ke samatal aur samaanaantar dishaao me chalne aur badhne me nahi honi chaahiye,apitu unki gati anubhutiyo aur bhavnaao ke aakaash-paataal me kalpanaa ki uchchaayio aur anubhutiyo ki gahraayio ki or honi chaahiye...."

"Yah bahut kathin hai ki saahityakaar apni ek hi rachanaa ya praytna se pathako ya shrotao ki puraani maanyataao aur sanskaaro ko badal sake. Aavashyak yah hai ki rachanaa me paathak ke mann-mastishk ko jakad sakne kaa itnaa saamarthya ho ki paathak ya shrotaa usase sahamat na hone par bhi uski rachanaa bina padhe ya bina sune na chhod sake......."

".......lekhak apne vichar aur apne sujhav ,janata ki bhavna ko achhuta chhorkar,aadesho ke roop me nahi de sakta.........uchit aur hitkar ko prabhavshali manoranjak dhang se prastut kar sakne ki vidhi hi sahitya ki kala hai.Lekhak apne vichar ya ka kathya ke liye pathak aur shrota me bhavna aur raagaatmak samvedan nahi jamaa sakegaa to apne udeshya aur dayitva me kabhi safal nahi ho sakega..........!

"....nitya to nahi parantu samaaj ki paristhitiyaa badalne par naitiktaa,satya aur ahimsaa ki dhaarnaa bhi badalti rahi hai aur samaj ke bhautik saadhano,paristhitiyo aur aarthik sambandho me parivartan aane par naitiktaa ko nishchay hi badalnaa chaahiye."